Āne Wāle Masīh kī Raushnī
1 Lekin musībatzadā tārīkī meṅ nahīṅ raheṅge. Go pahle Zabūlūn kā ilāqā aur Naftālī kā ilāqā past huā hai, lekin āindā jhīl ke sāth kā rāstā, Dariyā-e-Yardan ke pār, Ġhairyahūdiyoṅ kā Galīl sarfarāz hogā.
2 Andhere meṅ chalne wālī qaum ne ek tez raushnī dekhī, maut ke sāye meṅ ḍūbe hue mulk ke bāshindoṅ par raushnī chamkī. 3 Tū ne qaum ko baṛhā kar use baṛī ḳhushī dilāī hai. Tere huzūr wuh yoṅ ḳhushī manāte haiṅ jis tarah fasal kāṭte aur lūṭ kā māl bāṅṭte waqt manāī jātī hai. 4 Tū ne apnī qaum ko us din kī tarah chhuṭkārā diyā jab tū ne Midiyān ko shikast dī thī. Use dabāne wālā juā ṭūṭ gayā, aur us par zulm karne wāle kī lāṭhī ṭukṛe ṭukṛe ho gaī hai. 5 Zamīn par zor se māre gae faujī jūte aur ḳhūn meṅ latpat faujī wardiyāṅ sab hawālā-e-ātish ho kar bhasm ho jāeṅgī.
6 Kyoṅki hamāre hāṅ bachchā paidā huā, hameṅ beṭā baḳhshā gayā hai. Us ke kandhoṅ par hukūmat kā iḳhtiyār ṭhahrā rahegā. Wuh Anokhā Mushīr, Qawī Ḳhudā, Abadī Bāp aur Sulah-salāmatī kā Shahzādā kahlāegā.