Samsūn kā Āḳhirī Intaqām
23 Ek din Filistī sardār baṛā jashn manāne ke lie jamā hue. Unhoṅ ne apne dewatā Dajūn ko jānwaroṅ kī bahut-sī qurbāniyāṅ pesh karke apnī fatah kī ḳhushī manāī. Wuh bole, "Hamāre dewatā ne hamāre dushman Samsūn ko hamāre hawāle kar diyā hai." 24 Samsūn ko dekh kar awām ne Dajūn kī tamjīd karke kahā, "Hamāre dewatā ne hamāre dushman ko hamāre hawāle kar diyā hai! Jis ne hamāre mulk ko tabāh kiyā aur ham meṅ se itne logoṅ ko mār ḍālā wuh ab hamāre qābū meṅ ā gayā hai!" 25 Is qism kī bāteṅ karte karte un kī ḳhushī kī intahā na rahī. Tab wuh chillāne lage, "Samsūn ko bulāo tāki wuh hamāre diloṅ ko bahlāe."
Chunāṅche use un kī tafrīh ke lie jel se lāyā gayā aur do satūnoṅ ke darmiyān khaṛā kar diyā gayā. 26 Samsūn us laṛke se muḳhātib huā jo us kā hāth pakaṛ kar us kī rāhnumāī kar rahā thā, "Mujhe chhat ko uṭhāne wāle satūnoṅ ke pās le jāo tāki maiṅ un kā sahārā lūṅ." 27 Imārat mardoṅ aur auratoṅ se bharī thī. Filistī sardār bhī sab āe hue the. Sirf chhat par Samsūn kā tamāshā deḳhne wāle taqrīban 3,000 afrād the.