6 Ek din Daborā ne Baraq bin Abīnūsam ko bulāyā. Baraq Naftālī ke qabāylī ilāqe ke shahr Qādis meṅ rahtā thā. Daborā ne Baraq se kahā, "Rab Isrāīl kā Ḳhudā āp ko hukm detā hai, ‘Naftālī aur Zabūlūn ke qabīloṅ meṅ se 10,000 mardoṅ ko jamā karke un ke sāth Tabūr Pahāṛ par chaṛh jā! 7 Maiṅ Yābīn ke lashkar ke sardār Sīsarā ko us ke rathoṅ aur fauj samet tere qarīb kī Qaison Nadī ke pās khīṅch lāūṅgā. Wahāṅ maiṅ use tere hāth meṅ kar dūṅgā.’"
8 Baraq ne jawāb diyā, "Maiṅ sirf is sūrat meṅ jāūṅgā ki āp bhī sāth jāeṅ. Āp ke baġhair maiṅ nahīṅ jāūṅgā." 9 Daborā ne kahā, "Ṭhīk hai, maiṅ zarūr āp ke sāth jāūṅgī. Lekin is sūrat meṅ āp ko Sīsarā par ġhālib āne kī izzat hāsil nahīṅ hogī balki ek aurat ko. Kyoṅki Rab Sīsarā ko ek aurat ke hawāle kar degā."
Chunāṅche Daborā Baraq ke sāth Qādis gaī.
14 Tab Daborā ne Baraq se bāt kī, "Hamlā ke lie taiyār ho jāeṅ, kyoṅki Rab ne āj hī Sīsarā ko āp ke qābū meṅ kar diyā hai. Rab āp ke āge āge chal rahā hai." Chunāṅche Baraq apne 10,000 ādmiyoṅ ke sāth Tabūr Pahāṛ se utar āyā.
21 Yih kah kar Sīsarā gahrī nīnd so gayā, kyoṅki wuh nihāyat thakā huā thā. Tab Yāel ne meḳh aur hathoṛā pakaṛ liyā aur dabe pāṅw Sīsarā ke pās jā kar meḳh ko itne zor se us kī kanpaṭī meṅ ṭhoṅk diyā ki meḳh zamīn meṅ dhaṅs gaī aur wuh mar gayā.