1 Insān dil meṅ mansūbe bāndhtā hai, lekin zabān kā jawāb Rab kī taraf se ātā hai.
3 Jo kuchh bhī tū karnā chāhe use Rab ke sapurd kar. Tab hī tere mansūbe kāmyāb hoṅge.
9 Insān apne dil meṅ mansūbe bāndhtā rahtā hai, lekin Rab hī muqarrar kartā hai ki wuh āḳhirkār kis rāh par chal paṛe.
33 Insān to qurā ḍāltā hai, lekin us kā har faislā Rab kī taraf se hai.