13 Wuh ūn aur san chun kar baṛī mehnat se dhāgā banā letī hai. 14 Tijāratī jahāzoṅ kī tarah wuh dūr-darāz ilāqoṅ se apnī roṭī le ātī hai.
15 Wuh pau phaṭne se pahle hī jāg uṭhtī hai tāki apne ghar wāloṅ ke lie khānā aur apnī naukarāniyoṅ ke lie un kā hissā taiyār kare. 16 Soch-bichār ke bād wuh khet ḳharīd letī, apne kamāe hue paisoṅ se angūr kā bāġh lagā letī hai.
18 Wuh mahsūs kartī hai, "Merā kārobār fāydāmand hai," is lie us kā charāġh rāt ke waqt bhī nahīṅ bujhtā.
24 Bīwī kapṛoṅ kī silāī karke unheṅ faroḳht kartī hai, saudāgar us ke kamarband ḳharīd lete haiṅ.