Koī Rāstbāz Nahīṅ
9 Ab ham kyā kaheṅ? Kyā ham Yahūdī dūsroṅ se bartar haiṅ? Bilkul nahīṅ. Ham to pahle hī yih ilzām lagā chuke haiṅ ki Yahūdī aur Yūnānī sab hī gunāh ke qabze meṅ haiṅ. 10 Kalām-e-muqaddas meṅ yoṅ likhā hai,
"Koī nahīṅ jo rāstbāz hai, ek bhī nahīṅ.
19 Ab ham jānte haiṅ ki sharīat jo kuchh farmātī hai unheṅ farmātī hai jin ke sapurd wuh kī gaī hai. Maqsad yih hai ki har insān ke bahāne ḳhatm kie jāeṅ aur tamām duniyā Allāh ke sāmne mujrim ṭhahre. 20 Kyoṅki sharīat ke taqāze pūre karne se koī bhī us ke sāmne rāstbāz nahīṅ ṭhahar saktā, balki sharīat kā kām yih hai ki hamāre andar gunāhgār hone kā ehsās paidā kare.