2 Buzurg mardoṅ ko batā denā ki wuh hoshmand, sharīf aur samajhdār hoṅ. Un kā īmān, muhabbat aur sābitqadmī sehhatmand hoṅ.
5 ki wuh samajhdār Yūnānī lafz meṅ zabt-e-nafs kā unsur bhī pāyā jātā hai. aur muqaddas hoṅ, ki wuh ghar ke farāyz adā karne meṅ lagī raheṅ, ki wuh nek hoṅ, ki wuh apne shauharoṅ ke tābe raheṅ. Agar wuh aisī zindagī guzāreṅ to wuh dūsroṅ ko Allāh ke kalām par kufr bakne kā mauqā farāham nahīṅ kareṅgī.
6 Isī tarah jawān ādmiyoṅ kī hauslā-afzāī kareṅ ki wuh har lihāz se samajhdār zindagī guzāreṅ.
12 Aur yih fazl hameṅ tarbiyat de kar is qābil banā detā hai ki ham bedīnī aur duniyāwī ḳhāhishāt kā inkār karke is duniyā meṅ samajhdār, rāstbāz aur ḳhudātars zindagī guzār sakeṅ.