9 Dānāī ke bāre meṅ pāk nawishte bhī yihī kahte haiṅ,
"Jo na kisī āṅkh ne dekhā, na kisī kān ne sunā,
aur na insān ke zahan meṅ āyā,
use Allāh ne un ke lie taiyār kar diyā
jo us se muhabbat rakhte haiṅ."
10 Lekin Allāh ne yihī kuchh apne Rūh kī mārifat ham par zāhir kiyā kyoṅki us kā Rūh har chīz kā khoj lagātā hai, yahāṅ tak ki Allāh kī gahrāiyoṅ kā bhī.