7 Tab Sāūl ne apne mulāzimoṅ ko hukm diyā, "Mere lie murdoṅ se rābitā karne wālī ḍhūnḍo tāki maiṅ jā kar us se mālūmāt hāsil kar lūṅ." Mulāzimoṅ ne jawāb diyā, "Ain-dor meṅ aisī aurat hai."
15 Samuel bolā, "Tū ne mujhe Pātāl se bulwā kar kyoṅ muztarib kar diyā hai?" Sāūl ne jawāb diyā, "Maiṅ baṛī musībat meṅ hūṅ. Filistī mujh se laṛ rahe haiṅ, aur Allāh ne mujhe tark kar diyā hai. Na wuh nabiyoṅ kī mārifat mujhe hidāyat detā hai, na ḳhāb ke zariye. Is lie maiṅ ne āp ko bulwāyā hai tāki āp mujhe batāeṅ ki maiṅ kyā karūṅ."