13 Phir maiṅ ne āsmān par, zamīn par, zamīn ke nīche aur samundar kī har maḳhlūq kī āwāzeṅ sunīṅ. Hāṅ, kāynāt kī sab maḳhlūqāt yih gā rahe the,
"Taḳht par baiṭhne wāle aur Lele kī satāish aur izzat,
jalāl aur qudrat azal se abad tak rahe."
14 Chār jāndāroṅ ne jawāb meṅ "Āmīn" kahā, aur buzurgoṅ ne gir kar sijdā kiyā.