2 Kurneliyus apne pūre gharāne samet dīndār aur ḳhudātars thā. Wuh faiyāzī se ḳhairāt detā aur mutawātir duā meṅ lagā rahtā thā.
15 Lekin yih āwāz dubārā us se hamkalām huī, "Jo kuchh Allāh ne pāk kar diyā hai use nāpāk qarār na de."
28 Us ne un se kahā, "Āp jānte haiṅ ki kisī Yahūdī ke lie kisī Ġhairyahūdī se rifāqat rakhnā yā us ke ghar meṅ jānā manā hai. Lekin Allāh ne mujhe dikhāyā hai ki maiṅ kisī ko bhī harām yā nāpāk qarār na dūṅ.
Patras kī Taqrīr
34 Phir Patras bol uṭhā, "Ab maiṅ samajh gayā hūṅ ki Allāh wāqaī jānibdār nahīṅ, 35 balki har kisī ko qabūl kartā hai jo us kā ḳhauf māntā aur rāst kām kartā hai.
Rūhul-quds Ġhairyahūdiyoṅ par Nāzil Hotā Hai
44 Patras abhī yih bāt kar hī rahā thā ki tamām sunane wāloṅ par Rūhul-quds nāzil huā.