5 Unhoṅ ne kahā, "Log had se zyādā lā rahe haiṅ. Jis kām kā hukm Rab ne diyā hai us ke lie itne sāmān kī zarūrat nahīṅ hai." 6 Tab Mūsā ne pūrī ḳhaimāgāh meṅ elān karwā diyā ki koī mard yā aurat maqdis kī tāmīr ke lie ab kuchh na lāe.
Yoṅ unheṅ mazīd chīzeṅ lāne se rokā gayā, 7 kyoṅki kām ke lie sāmān zarūrat se zyādā ho gayā thā.