1 Dekheṅ, ab tak Allāh kā yih wādā qāym hai, aur ab tak ham sukūn ke mulk meṅ dāḳhil ho sakte haiṅ. Is lie āeṅ, ham ḳhabardār raheṅ. Aisā na ho ki āp meṅ se koī pīchhe rah kar us meṅ dāḳhil na hone pāe. 2 Kyoṅki hameṅ bhī un kī tarah ek ḳhushḳhabrī sunāī gaī. Lekin yih paiġhām un ke lie befāydā thā, kyoṅki wuh use sun kar īmān na lāe.
7 Yih madd-e-nazar rakh kar Allāh ne ek aur din muqarrar kiyā, mazkūrā "Āj" kā din. Kaī sāloṅ ke bād hī us ne Dāūd kī mārifat wuh bāt kī jis par ham ġhaur kar rahe haiṅ,
"Agar tum āj Allāh kī āwāz suno
to apne diloṅ ko saḳht na karo."
11 Is lie āeṅ, ham is sukūn meṅ dāḳhil hone kī pūrī koshish kareṅ tāki ham meṅ se koī bhī bāpdādā ke nāfarmān namūne par chal kar gunāh meṅ na gir jāe.