27 Ai Yāqūb kī qaum, tū kyoṅ kahtī hai ki merī rāh Rab kī nazar se chhupī rahtī hai? Ai Isrāīl, tū kyoṅ shikāyat kartā hai ki merā muāmalā mere Ḳhudā ke ilm meṅ nahīṅ ātā?
28 Kyā tujhe mālūm nahīṅ, kyā tū ne nahīṅ sunā ki Rab lāzawāl Ḳhudā aur duniyā kī intahā tak kā Ḳhāliq hai? Wuh kabhī nahīṅ thaktā, kabhī niḍhāl nahīṅ hotā. Koī bhī us kī samajh kī gahrāiyoṅ tak nahīṅ pahuṅch saktā. 29 Wuh thakemāndoṅ ko tāzagī aur bebasoṅ ko taqwiyat detā hai. 30 Go naujawān thak kar niḍhāl ho jāeṅ aur jawān ādmī ṭhokar khā kar gir jāeṅ, 31 lekin Rab se ummīd rakhne wāle naī tāqat pāeṅge aur uqāb ke-se par phailā kar bulandiyoṅ tak uṛeṅge. Na wuh dauṛte hue thakeṅge, na chalte hue niḍhāl ho jāeṅge.