8 Yād rakheṅ ki Masīh Allāh kī sadāqat kā izhār karke Yahūdiyoṅ kā ḳhādim banā tāki un wādoṅ kī tasdīq kare jo Ibrāhīm, Is’hāq aur Yāqūb se kie gae the. 9 Wuh is lie bhī ḳhādim banā ki Ġhairyahūdī Allāh ko us rahm ke lie jalāl deṅ jo us ne un par kiyā hai. Kalām-e-muqaddas meṅ yihī likhā hai,
"Is lie maiṅ aqwām meṅ terī hamd-o-sanā karūṅga,
tere nām kī tārīf meṅ gīt gāūṅgā."
10 Yih bhī likhā hai,
"Ai dīgar qaumo, us kī ummat ke sāth ḳhushī manāo!"
11 Phir likhā hai,
"Ai tamām aqwām, Rab kī tamjīd karo!
Ai tamām ummato, us kī satāish karo!"
12 Aur Yasāyāh Nabī yih farmātā hai,
"Yassī kī jaṛ se ek koṅpal phūṭ niklegī,
ek aisā ādmī uṭhegā
jo qaumoṅ par hukūmat karegā.
Ġhairyahūdī us par ās rakheṅge."
13 Ummīd kā Ḳhudā āp ko īmān rakhne ke bāis har ḳhushī aur salāmatī se māmūr kare tāki Rūhul-quds kī qudrat se āp kī ummīd baṛh kar dil se chhalak jāe.