Ilīmalik Moāb Chalā Jātā Hai
1,2 Un dinoṅ jab qāzī qaum kī rāhnumāī kiyā karte the to Isrāīl meṅ kāl paṛā. Yahūdāh ke shahr Bait-laham meṅ ek Ifrātī ādmī rahtā thā jis kā nām Ilīmalik thā. Kāl kī wajah se wuh apnī bīwī Naomī aur apne do beṭoṅ Mahlon aur Kilyon ko le kar Mulk-e-Moāb meṅ jā basā.
16 Lekin Rūt ne jawāb diyā, "Mujhe āp ko chhoṛ kar wāpas jāne par majbūr na kījie. Jahāṅ āp jāeṅgī maiṅ jāūṅgī. Jahāṅ āp raheṅgī wahāṅ maiṅ bhī rahūṅgī. Āp kī qaum merī qaum aur āp kā Ḳhudā merā Ḳhudā hai. 17 Jahāṅ āp mareṅgī wahīṅ maiṅ marūṅgī aur wahīṅ dafn ho jāūṅgī. Sirf maut hī mujhe āp se alag kar saktī hai. Agar merā yih wādā pūrā na ho to Allāh mujhe saḳht sazā de!"
20 Naomī ne jawāb diyā, "Ab mujhe Naomī Ḳhushgawār, Ḳhushī Wālī. Mat kahnā balki Mārā, Kaṛwī. kyoṅki Qādir-e-mutlaq ne mujhe saḳht musībat meṅ ḍāl diyā hai. 21 Yahāṅ se jāte waqt mere hāth bhare hue the, lekin ab Rab mujhe ḳhālī hāth wāpas le āyā hai. Chunāṅche mujhe Naomī mat kahnā. Rab ne ḳhud mere ḳhilāf gawāhī dī hai, Qādir-e-mutlaq ne mujhe is musībat meṅ ḍālā hai."