Achchhā Charwāhā
1 Dāūd kā zabūr.
Rab merā charwāhā hai, mujhe kamī na hogī.
2 Wuh mujhe shādāb charāgāhoṅ meṅ charātā aur pursukūn chashmoṅ ke pās le jātā hai.
3 Wuh merī jān ko tāzādam kartā aur apne nām kī ḳhātir rāstī kī rāhoṅ par merī qiyādat kartā hai.
5 Tū mere dushmanoṅ ke rūbarū mere sāmne mez bichhā kar mere sar ko tel se tar-o-tāzā kartā hai. Merā pyālā terī barkat se chhalak uṭhtā hai.