5 Kyoṅki wuh lamhā-bhar ke lie ġhusse hotā, lekin zindagī-bhar ke lie mehrbānī kartā hai. Go shām ko ronā paṛe, lekin subah ko ham ḳhushī manāeṅge.
11 Tū ne merā mātam ḳhushī ke nāch meṅ badal diyā, tū ne mere mātamī kapṛe utār kar mujhe shādmānī se mulabbas kiyā.
12 Kyoṅki tū chāhtā hai ki merī jān ḳhāmosh na ho balki gīt gā kar terī tamjīd kartī rahe. Ai Rab mere Ḳhudā, maiṅ abad tak terī hamd-o-sanā karūṅga.