Allāh ke lie Ārzū
1 Dāūd kā zabūr. Yih us waqt se mutālliq hai jab wuh Yahūdāh ke registān meṅ thā.
Ai Allāh, tū merā Ḳhudā hai jise maiṅ ḍhūṅḍtā hūṅ. Merī jān terī pyāsī hai, merā pūrā jism tere lie tarastā hai. Maiṅ us ḳhushk aur niḍhāl mulk kī mānind hūṅ jis meṅ pānī nahīṅ hai.
3 Kyoṅki terī shafqat zindagī se kahīṅ behtar hai, mere hoṅṭ terī madahsarāī kareṅge.