6 Īsā ne jawāb diyā, "Yasāyāh Nabī ne tum riyākāroṅ ke bāre meṅ ṭhīk kahā jab us ne yih nabuwwat kī,
‘Yih qaum apne hoṅṭoṅ se to merā ehtirām kartī hai
lekin us kā dil mujh se dūr hai.
7 Wuh merī parastish karte to haiṅ, lekin befāydā.
Kyoṅki wuh sirf insān hī ke ahkām sikhāte haiṅ.’
8 Tum Allāh ke ahkām ko chhoṛ kar insānī riwāyāt kī pairawī karte ho."